ahkam e shariat Phone Number

Sponsored Ads

Sponsered Ads

Find Official Address of ahkam e shariat:


Pakistan

Send your email to ahkam e shariat at the above address or you can personally visit the place on the given address.

The Email Address to Send Email to ahkam e shariat:


Muftiakmalqtv2@gmail.com

Communicate with ahkam e shariat through the email address displayed above for any query, help, suggestion and feedback.


Let Us Know
HERE if the provided contact numbers, email address or website of ahkam e shariat are invalid.

Are You Satisfied After Making Call To ahkam e shariat?


What is ahkam e shariat?

Ahkam e Shariat which means Commandments of Islamic Jurisprudence is an Islamic Show which broadcasts on ARY QTV. The show is presented by Mufti Muhammad Akmal of Pakistan. Mufti Muhammad Akmal, a renowned Muslim scholar of Pakistan gives answers to questions asked by the viewers on phone. Ahkam e Shariat is committed to provide solutions to the Muslim Ummah for the problems faced by the them in their day to day life. S.M Ismail Jalali is the Director of the Show.


Contact ahkam e shariat

ahkam e shariat resides at Pakistan provides here all the necessory details like helpDesk helpline numbers i.e. by which customers can reach to ahkam e shariat easily. Here on this page you can get customer service toll free helpline number of ahkam e shariat. you can contact them by their email address Muftiakmalqtv2@gmail.com.
Sponsered Ads


Post Your Problem and Suggestion

Name:
Address:
Text Message:
Image Text:
ahkam e shariat Phone Number, Contact Address, Customer Service

Assalam alaikum Mufti Sahab mera Nam Aamena Shaikh hai Mai India se bat kr rhi hu mera masala ye hai k mere shohar ne pichle mahine mujhe gusse me talak ki niyyat se nhi mujhe dhamkane ki niyyat se three bar talak Deta hu aisa kaha to Kya talak waqae ho gayi. Or ab hum sath me rahena chahte hai to Kya kare. Aap rahenumai Kare.

12/4/2016 9:16:47 PM

Mufti Sahab mere masale ka solution jaldi btaye. Mere shohar ki or Meri bahes ne mere shohar ne three bar kaha Mai talak Deta hu lekin unho ne mera nam bhi nhi liye or Na ye bole k tujhe talak Deta hu. Or uske foran bad unho ne mujhe phir se qabool hai bhi kaha. Koi gawah bhi nhi tha, na unke dil me talak ki niyyat t ab agar hum tassali k liye dobara nikal krne to ho skta hai ya Kya talak waqae hogai. Agar Hui to Kya krre.

12/4/2016 11:06:51 PM

Assalamu lai km Shaban ke mahine me shadi karna bahetar he )ek kitab me likha huwa he saban me shadi ki to dulha faker va mohtaz hoga) Kya ye such he Kitab ka naam (karishmahe kudrat) Aap hamare haq me dua kare.

12/18/2016 7:38:06 PM

Assalamu alaikum Hazrat kia saban ke mahine me shadi karna bahetar he (ek kitab me likha huwa he saban me shadi ki to dulha faker va mohtaz hoga) Aap jald se jald javab de or dua kare hamare haq me ammi Or abba ke haq moor hone wali begam ke haq me or rozi ke liye Just now.

12/18/2016 7:40:08 PM

Aap please mujse baat kariye. Meri zindagi bhot kashmkash me chal rahi. Talak K silsiley me aapse puchna hey. Yaha pay sab alag bol rahe. Koi sahi nahi bata raha hey. Har grohwale apne tarike se bayaan kar rahe hey.

12/19/2016 1:36:56 AM

Asalam o Alykum me talaq k mutaliq pouchnachahti hun meri age 25he mera nikah 2013me hua tha or ab tk rukhsti nhi hui me kuwait rehti hun or mera husband pak me mera shohr k or mery drmyan 2saalse rabta b nhi he or ab me talaq chahti hun tak kahin or Izat se shadi kr skun itny salon me mery shohr ny koi ghr nhi bnaya koi khair ha nhi diya yani abhi tak kuch nhi kiya uski omer 31saal he or wo mujhy tala Bhi nhi dey rha or me yateem hun na maa nabaap orkhud hi kam krk apni zindgi guzar rahi hun hmara mangni 2011mehui thi braye mehrbani mujhy koi Islamic suggestions deyn.

9/23/2017 5:25:12 PM

Aslamalykum jnab Mera masla ye hai ki mere shohar ne muje lgatar talak dia 5months tak Har baar uske Bolney keep alfaz hr baar is trha se they ki main tmko talak deta hoon ye do baar bola or tesri baar main bol donga Main bol raha hoon apne baar k samne synergies Is trha bola. To kia talak ho gi. Abmain apne ghar waps agi. Or court me case file kr dia hai wo bol raha hai ki talak nhi dega meri us shakhs se talak hui hai y nhi is bare me batane. Please jldi jawab den Allah hafiz.

1/31/2018 9:25:18 AM

Assalmualaikum mere shohar ne mazak mein ye khe diya k maaz Allah shohar ka Martaba khuda jaisa h kya ye kufr h.

2/18/2018 4:32:56 PM

Assalam o Alaikum mufti sahab, mufti sahad meri age 28 ha or ma shadi shuda ho. Mere sth masla ye ha k mjhe jiryan ha or qatry aty ha jis ki wjha se aksar kapry napak ho jaty ha. Iss ka mane kafi ilaj bh krwaya wazifa bh kia dua bh ki lekin mjhe koi aram nahi aya or abhi bh ma iss ka ilaj krwa raha ho. Mjhe kisi ny bola tha k tm namaz naa chora kro tmhari namaz ho jay g. Lekin kch din phly mane utube par one video dekhi jis ma btaya gya tha k napak kapro ma namaz parhna kufr ha. Kia sach ma aisa ha? or agr aisa ha to mera apni bv k sth kia mamla ho ga. Kia wo mere nikah ma ha yaa nahi? or kia ma us k sth zina to nahi kar raha ha. Q k ALLAH k Nabi MOHAMMAD SAWW ki hadees e mubaraka ha k qurb e qayamat ma log apni bevio k sth zina kary gy. Ma iss mamly ma bht pareshan ho mehrabni kr k mjhe thri hidayat naseeb farmaye. Shukria ALLAH ap ka haami or nasir ho. Assalam o ALaikum.

5/19/2018 8:05:11 PM

Asalamalaykum wrehmatulah wbrkathu molana sahab mera naam Imran hai mai zamania distt ghazipur (India) me rehta hoon. Molana sahab mai aap se phone pe baat krna chahta hoon. Kyounki mujhe aap se ek namaz ka masla puchna tha. Mujhe apna phone number dijiye meri email ID per. Mera contact number 9616448909 h.

5/21/2018 12:46:54 AM

Mera sawal ye hai k shaadi k bad agar shohar apni bv sy kahy k mai tmhen talaq d or aisy aik talaaq dy d. Or bahr logun sy ye kahy k main usy chor chuka hun ya meri taraf s wo farig hy. To kya humum hy talaak ho jaye v k nai. Ya aisy aadmi k sath rehna chahy k nai.

6/6/2018 1:58:00 PM

Asslamoalaikum mufti sb apsy ik msla pochna tha talak k hawaly sy Agr bivi shohr sy mutalba krti ha k mje abhi talak do or shohr agy sy kehta ha k "acha theek ha ma deta hon, deta hon na, dy rha hon" or ye alfaz wo mustaqbil k liye istamal krta ha or bivi ko mehz dhmkany k liye Qk hmart han deta hon ya krta hon kam k pory hony ma ata b ha or nhi b. Or agr irada mustaqbil ka ho k mustabil ma deta hon to kia asy alfaz sy talak hojati ha Or agr hoti ha to kitni talakain prti hain Rehnumai frmain JazakAllah.

6/30/2018 10:20:39 PM

Qari shab Asslam-0-Alaikum. Mera masla ye hai k maine three sal phly darud tanjena ki mant mangi the sawa lakh br magr 24000 prha h baki ka koshesh kr raha hun prne ki. Agr is manat ki jaga koi asa tareka btaen k jis se is mant ka kafara ho jae plese.

10/26/2018 12:02:08 PM

Asslam o alaikum mufti shab maibe three sal phly mant mangi the 124000 br drud tnjena prne ki magr abi tk muj se nahe prne hua. Is ki jaga agr koi kafara de sakta hn to please rehnamai frmaa den.

10/26/2018 7:22:49 PM

Assalam aliakum mufti sahab ap ki address mill sakti ha letter send krnay ka liey mughy ap sayshart kay hasab say guideline lene ha aur kuch ghero mamlat main aur mere bhi ka problem ha us wife talaq chati ha us wagha say main tafsel main ap letter likhna chati ho so please mere rahnmai kran faqat umehani.

10/30/2018 2:44:02 AM

Exam me pass hone ka wazifa btaa de. Aur job mil jye uske liye wazifa btaa dee. Paise me barket ke liye wazifa. Btaa dee.

11/27/2019 8:47:50 PM

My father take one drop of a medicine containing 90 percent of alcohol daily. Question is should he perform kulli (gargle) before reading Quran.

2/6/2020 11:05:14 AM

Assalam you alikum Mufti sahb please muhgy jaldi reply kare ga. Maira sawal hai k talaq ya khula ki eddat k doran orat ummra ya hajj pe ja sakte hai ya edat khatam hony ka intzar karna hoga. Please jaldi bata daay.

2/13/2020 12:57:41 PM

Salam mufti sahb mera ye sawal hai ke agr bnda kisi nai jaga jay aur wahan ki sehri ki timing ka pta na ho aur doran e sehri aazan ho jay aur aazan sun ker khana chor diya jay to us ke baary main kia hukm hoga?kia roza hoga ya nhi?.

4/21/2020 6:26:46 AM

?????? ????? Youtube /Facebook social media se income halal ha ya haram?tafseel se jwab ata farmain.

5/30/2020 12:33:22 PM

?????? ????? Youtube se income halal ha ya hram? Koi islamic channel/sports channelki income? Tafseel se jwab ata kr dain.

5/30/2020 12:36:36 PM

Mufti sb mera swal ye hy k jo Prime minister pakistan ki trf say Loan program start kya gya hy us say loan lena jayz hy ya nahi.

10/9/2020 1:07:17 AM

Assalamuayaikum Mufti Akmal sahab, Alhamdulillah mai ap k program dikhta hon, Bohot hi zabardast Andaz me Or Quran aur Hadees k hawale se ap sahi batate hai. Mashaallah. Allah ap ko Salamat Rakhe. Akmal sahab mera Question ye hai. Kuch property lene ho, magar hamare India me bager Interest k loan nahi dete, aur property itne costly hoti hai k bagar loan k lena mushkil hai, aur paise jama karne chahe to jama kar k lene mushkil hai Alhamdulillah zati ghar hai magar property or badana chare. Sharyat me kuch tarikha hai loan lene ka. Shukriya Duao me yad Rakhye. Allah hafiz.

10/10/2020 11:58:10 PM

Assalam alaikum Mufti Sahab Mera sawal yeh hai ke agar ham koi website istamal kar rahe hoon aur us me achanak koi gandi cheez aaj jai aur hamary galty se nazar us par par jai to koy hamen gunnah hoga ? Mera dosra sawal yeh hai kya nabalig bacha jo quran pak ka hafiz ho aur use quran pak ka Knowlege bhi ho umar 13 ya 14 ki ho kya wo namaz par ha sakta hai ? aur akhri sawal Jhoot kin jagaon par kehna jaiz hai ? ???? ???? ??? ????.

10/18/2020 3:28:59 AM

Mera sawal khawand apni bivi ko kahy k tum mery nikah main naheen rahi mera rizaq tum par harram hy mery ghar sy nikal jao or bive ko ghar sy nikal dy kia in alfaz sy tallaq ho jati hy agar ho jati hy to sharai haseet kia ho gi.

11/11/2020 7:53:47 AM

Mary husbund UK ma rehty thy ma pakistan unhon na manat mangi thi k jab mara visa lagay ga ham umra karty vy pakistan sa UK jay gay laikin jab mara visa laga ma seven months pragnant thi aur visa jis din laga us k agly din ki ticket karvani pari q k pragnant women ko flight mushkil sa kuch airline dyty hai rules k mutabik agr un k muqarar karda hafto sa zyada aik din b upr dy tw safar karny nae dyty aysy bacha yhan ho jana tha pakistan ma aur us k visa ka bht msla bnna tha isi lye ma chali gae UK us halat ma shayad umra karna b mushkil hota mujh sa pydal nae chala jata tha zyada phir yhan a k aur masail pyda ho gay susral walo na alida kar dia ghr ka rent aur baki kharchy ghr ki zarorat ki chesy kafi kharedni parri ab mary shohar six months sa jobless hai phly lockdown ki wja sa aur ab bemar ha chakar aty hai drive b nae kr skty dour tak itna wasail nae hai k umra kar saky kia iska wabal ham par pary ga. Shariat k lehaz sa kia hukam ha? Mary shohar bemaar hai chakar aty hai zyada chala b nae jata kia mujhy lagta h k shayad Allah naraz ho gay ham sa k manat pori nae ki? Ab haam kia kary.

11/18/2020 4:42:36 PM

???? ?? ???? ????? ?? ???? ????? ??? ??? ??? ???? ???? ???? ?? ???? ?? ???? ?? ?? ???? ???? ???? ???? ?? ?? ??? ???? ?? ?? ??????? ???? ???? ????? ??? ?? ???? ?? ????? ???? ???? ???? ?? ?? ??? ????.

1/3/2021 10:24:43 AM

Mufti sab, Beth k namaz ka behter tariqa kia hy, ager koi Zamin pe Beth k sajda nahi kersakta to kia baqi namaz kharey ho k parey ya Beth k hi ada karey ? Faheem, KARACHI.

1/4/2021 10:21:13 AM

Aapse se guzarish hai es masle ko jarur bayan kre. MLM company (multi level marketing)mai kaam karna kaisa hai. Jo target based company hoti h. India mai vestige, Amway, modicare jaise naamo se hai, inke products (personal care, buety care, cosmetic, kitchen etc)ke product h. Esme kaam yeah hai ki eske product used krne hote hai. Aur two logo ko add krna hota hai. Aur fir another logo ko bhi kahte h. Aap product used kre aur two logo ko add kre esi tarah logo ko add krte jaate hai aur yeh ek chain ki trah ho jaata hai. Ek time ke baad sbse upr jo rahta hai use income aane lagte hai. Aapse guzarish hai ki aap bataye aisa company am kaam karna kaisa hai Islam am. Aur aisa company mai kya dikkat hai krne mai. Esme bahut se log kaam kr rahe. Aur mai bhi join hu esme.

1/4/2021 10:27:45 AM

Asslam ealikum Mufti sahib, Praying behind different sect - Kisi aur aqeedah walay imaam kay peechay namaaz kese hai?.

1/6/2021 12:23:53 PM